hamein apne to kya ghairon ko Thukrana nahin aata
hameñ apne to kyā ġhairoñ ko Thukrānā nahīñ aatā
ravādārī kī rāhoñ se bhaTak jaanā nahīñ aatā
diyā ummīd kā rahbar banā letā huuñ manzil tak
mujhe raste kī tārīkī se ghabrānā nahīñ aatā
gulistān-e-mohabbat meñ kuchh aise phuul khilte haiñ
jinheñ mausam badalne par bhī murjhānā nahīñ aatā
jahāñ tak ho sake har haal meñ ham shaad rahte haiñ
vafūr-e-yās meñ bhī ashk barsānā nahīñ aatā
rah-e-manzil hamārī hausla-mandī se vāqif hai
hameñ baḌhnā to aatā hai palaT aanā nahīñ aatā
ḳhudā-e-do-jahāñ ne ye salāhiyyat hameñ dī hai
kabhī makr-o-riyā kā jaal phailānā nahīñ aatā
milā sabr-o-qanā.at kā asāsa mālik-e-kul se
ye ne.amat hai hameñ ne.amat pe itrānā nahīñ aatā
tahī-kāsa liye vāpas khañDar meñ lauT aa.e haiñ
hameñ ehsās-e-mahrūmī ko bhaḌkānā nahīñ aatā
thapeḌe yās-o-ġham ke khaa.e haiñ din-rāt ai 'gauhar'
magar ab tak fareb-e-ārzū khānā nahīñ aatā
hamein apne to kya ghairon ko Thukrana nahin aata
rawadari ki rahon se bhaTak jaana nahin aata
diya ummid ka rahbar bana leta hun manzil tak
mujhe raste ki tariki se ghabrana nahin aata
gulistan-e-mohabbat mein kuchh aise phul khilte hain
jinhen mausam badalne par bhi murjhana nahin aata
jahan tak ho sake har haal mein hum shad rahte hain
wafur-e-yas mein bhi ashk barsana nahin aata
rah-e-manzil hamari hausla-mandi se waqif hai
hamein baDhna to aata hai palaT aana nahin aata
KHuda-e-do-jahan ne ye salahiyyat hamein di hai
kabhi makr-o-riya ka jal phailana nahin aata
mila sabr-o-qanaat ka asasa malik-e-kul se
ye neamat hai hamein neamat pe itrana nahin aata
tahi-kasa liye wapas khanDar mein lauT aae hain
hamein ehsas-e-mahrumi ko bhaDkana nahin aata
thapeDe yas-o-gham ke khae hain din-raat ai 'gauhar'
magar ab tak fareb-e-arzu khana nahin aata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.