hamein apni ghazal se dard-o-gham tujhko sunana hai
hameñ apnī ġhazal se dard-o-ġham tujh ko sunānā hai
batā de dil tujhe kitnā abhī ham ko rulānā hai
jo thā chhoTā hamesha se sabhī logoñ se is ghar meñ
sabhī se ab baḌā hai vo sabhī se vo siyānā hai
kahīñ bhī vo chale jaa.eñ hameñ ab chhoḌ kar tanhā
unhīñ ke ġham meñ ham ko yaar ab piinā pilānā hai
baġhāvat kar nahīñ sakte amīrī jaan le legī
ġharībī kah rahī hai naam ab tujh ko kamānā hai
hamein apni ghazal se dard-o-gham tujh ko sunana hai
bata de dil tujhe kitna abhi hum ko rulana hai
jo tha chhoTa hamesha se sabhi logon se is ghar mein
sabhi se ab baDa hai wo sabhi se wo siyana hai
kahin bhi wo chale jaen hamein ab chhoD kar tanha
unhin ke gham mein hum ko yar ab pina pilana hai
baghawat kar nahin sakte amiri jaan le legi
gharibi kah rahi hai nam ab tujh ko kamana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.