hamein apni zat se ishq hua hum apne liye betab hue
hameñ apnī zaat se ishq huā ham apne liye betāb hue
tum log parā.e hijr meñ the tum apne liye nāyāb hue
hameñ kis kī ḳhabar hameñ kis kā pata hameñ apnā husūl zarūrī thā
ma.alūm nahīñ auroñ ke liye ham ḳhvāb hue ki sarāb hue
is gaañv ke sab kachche raste kisī shahr se jā kar milte haiñ
is gaañv meñ jab sailāb aaya vo shahr bhī zer-e-āb hue
vo bahār kā manzar ab jaise mirī aañkh meñ aakar Thahar gayā
mirī soch ke sab behtar lamhe tirī yaad se mil ke gulāb hue
kyoñ aisī duā.eñ kī jaa.eñ jo qubūl bhī hoñ to pata na chale
jinheñ saiñt ke rakhā muddat tak vo gunāh bhī nazr-e-savāb hue
phir zehn meñ socheñ uThtī haiñ phir soch ko pahlū milte haiñ
tirī yaad ke mazmūñ par ab tak kitne hī savāl-o-javāb hue
hamein apni zat se ishq hua hum apne liye betab hue
tum log parae hijr mein the tum apne liye nayab hue
hamein kis ki KHabar hamein kis ka pata hamein apna husul zaruri tha
malum nahin auron ke liye hum KHwab hue ki sarab hue
is ganw ke sab kachche raste kisi shahr se ja kar milte hain
is ganw mein jab sailab aaya wo shahr bhi zer-e-ab hue
wo bahaar ka manzar ab jaise meri aankh mein aakar Thahar gaya
meri soch ke sab behtar lamhe teri yaad se mil ke gulab hue
kyon aisi duaen ki jaen jo qubul bhi hon to pata na chale
jinhen saint ke rakha muddat tak wo gunah bhi nazr-e-sawab hue
phir zehn mein sochen uThti hain phir soch ko pahlu milte hain
teri yaad ke mazmun par ab tak kitne hi sawal-o-jawab hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.