hamein banate hue KHud bigaD gaya hai KHuda
hameñ banāte hue ḳhud bigaḌ gayā hai ḳhudā
'ajīb logoñ kī sohbat meñ paḌ gayā hai ḳhudā
chalī vo shiddat-e-īmān kī havā-e-ḳhizāñ
hamārī shāḳh-e-'aqīdat se jhaḌ gayā hai ḳhudā
rafū kare bhī mohabbat to kis jagah āḳhir
ki sar se paañv talak hī udhaḌ gayā hai ḳhudā
yahāñ zamīn se ham bhī ukhaḌ ke rah ga.e haiñ
vahāñ jo apne falak par ujaḌ gayā hai ḳhudā
ġhazal nahīñ hai ye hai bandagī kī qabr 'ehsās'
so ḳhāk-e-bandagī meñ aa ke gaḌ gayā hai ḳhudā
hamein banate hue KHud bigaD gaya hai KHuda
'ajib logon ki sohbat mein paD gaya hai KHuda
chali wo shiddat-e-iman ki hawa-e-KHizan
hamari shaKH-e-'aqidat se jhaD gaya hai KHuda
rafu kare bhi mohabbat to kis jagah aaKHir
ki sar se panw talak hi udhaD gaya hai KHuda
yahan zamin se hum bhi ukhaD ke rah gae hain
wahan jo apne falak par ujaD gaya hai KHuda
ghazal nahin hai ye hai bandagi ki qabr 'ehsas'
so KHak-e-bandagi mein aa ke gaD gaya hai KHuda
- Book : Mohabbat Kar Ke Dekho Na (Pg. 34)
- Author : Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.