hamein bhi kaam bahut hai KHazane se uske
hameñ bhī kaam bahut hai ḳhazāne se us ke
zarā ye log to uTTheñ sirhāne se us ke
yahī na ho ki tavajjoh haTā le vo apnī
ziyāda der na bachnā nishāne se us ke
vo mujh se taaza mohabbat pe raazī hai lekin
usuul ab bhī vahī haiñ purāne se us ke
vo tiir itnī ri.āyat kabhī nahīñ detā
ye zaḳhm lagtā nahīñ hai gharāne se us ke
vo chaḌh rahā thā judā.ī kī sīḌhiyāñ 'ḳhurram'
sarak rahā thā mirā haath shāne se us ke
hamein bhi kaam bahut hai KHazane se us ke
zara ye log to uTThen sirhane se us ke
yahi na ho ki tawajjoh haTa le wo apni
ziyaada der na bachna nishane se us ke
wo mujh se taza mohabbat pe raazi hai lekin
usul ab bhi wahi hain purane se us ke
wo tir itni riayat kabhi nahin deta
ye zaKHm lagta nahin hai gharane se us ke
wo chaDh raha tha judai ki siDhiyan 'KHurram'
sarak raha tha mera hath shane se us ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.