hamein bhi pyar karna aa gaya hai
hameñ bhī pyaar karnā aa gayā hai
ki jiine kā salīqa aa gayā hai
tumheñ aanā thā shāyad january meñ
december kā mahīna aa gayā hai
jo āmāda hue haiñ ḳhud-kushī par
vo kahte the ki jiinā aa gayā hai
ḳhushī maiñ jiit kī us ko bhī dūñgī
mujhe ab haar jaanā aa gayā hai
maiñ kyoñ is zaḳhm par marham lagā.ūñ
jab is kā lutf lenā aa gayā hai
tujhe ḳhush dekh kar nā-ḳhush hai duniyā
'tabassum' kyā zamānā aa gayā hai
hamein bhi pyar karna aa gaya hai
ki jine ka saliqa aa gaya hai
tumhein aana tha shayad january mein
december ka mahina aa gaya hai
jo aamada hue hain KHud-kushi par
wo kahte the ki jina aa gaya hai
KHushi main jit ki us ko bhi dungi
mujhe ab haar jaana aa gaya hai
main kyon is zaKHm par marham lagaun
jab is ka lutf lena aa gaya hai
tujhe KHush dekh kar na-KHush hai duniya
'tabassum' kya zamana aa gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.