hamein dawa tha dekhenge wo kyunkar yaad aate hain
hameñ dā'vā thā dekheñge vo kyūñkar yaad aate haiñ
rag-e-jāñ ban ga.e haiñ ab fuzūñ-tar yaad aate haiñ
ḳhafā to mujh se rahte haiñ magar rahte haiñ dil meñ bhī
maiñ aksar bhūltā huuñ aur vo aksar yaad aate haiñ
butoñ kī bandagī hai shukriya sāne' kī san'at kā
vo kāfir kyoñ huā jis ko ye dilbar yaad aate haiñ
mirā maazī nazar aayā mujhe hāl-e-hasīñ ho kar
jo un ke saath dekhe the vo manzar yaad aate haiñ
maiñ gulchīñ thā bahār-e-zindagī ke gulsitānoñ kā
jo din phūloñ meñ biite the vo aksar yaad aate haiñ
nasha utrā magar ab bhī tumhārī mast āñkhoñ se
piye the jo mai-e-ulfat ke sāġhar yaad aate haiñ
dayār-e-dūr meñ maiñ to nahīñ aatā huuñ yaad un ko
na jaane vo mujhe phir kyoñ barābar yaad aate haiñ
bas ab rahne bhī de sab be-niyāzī dekh lī terī
tujhe ab to vo har maz.har meñ 'az.har' yaad aate haiñ
hamein da'wa tha dekhenge wo kyunkar yaad aate hain
rag-e-jaan ban gae hain ab fuzun-tar yaad aate hain
KHafa to mujh se rahte hain magar rahte hain dil mein bhi
main aksar bhulta hun aur wo aksar yaad aate hain
buton ki bandagi hai shukriya sane' ki san'at ka
wo kafir kyon hua jis ko ye dilbar yaad aate hain
mera mazi nazar aaya mujhe haal-e-hasin ho kar
jo un ke sath dekhe the wo manzar yaad aate hain
main gulchin tha bahaar-e-zindagi ke gulsitanon ka
jo din phulon mein bite the wo aksar yaad aate hain
nasha utra magar ab bhi tumhaari mast aankhon se
piye the jo mai-e-ulfat ke saghar yaad aate hain
dayar-e-dur mein main to nahin aata hun yaad un ko
na jaane wo mujhe phir kyon barabar yaad aate hain
bas ab rahne bhi de sab be-niyazi dekh li teri
tujhe ab to wo har mazhar mein 'azhar' yaad aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.