hamein dekhe se wo jita hai aur hum us pe marte the
hamein dekhe se wo jita hai aur hum us pe marte the
Jurat Qalandar Bakhsh
MORE BYJurat Qalandar Bakhsh
hameñ dekhe se vo jiitā hai aur ham us pe marte the
yahī rāteñ thiiñ aur bāteñ thiiñ vo din kyā guzarte the
vo soz-e-dil se bhar laatā thā ashk-e-surḳh āñkhoñ meñ
agar ham jī kī bechainī se āh-e-sard bharte the
kisī dhaḌke se rote the jo bāham vasl kī shab ko
vo ham ko man' kartā thā ham us ko man' karte the
milī rahtī thiiñ āñkheñ ġhalba-e-ulfat se aapas meñ
na ḳhauf us ko kisī kā thā na ham logoñ se Darte the
so ab sad-haif us ḳhurshīd-rū ke hijr meñ 'jur.at'
yahī rāteñ haiñ aur bāteñ haiñ vo din kyā guzarte the
hamein dekhe se wo jita hai aur hum us pe marte the
yahi raaten thin aur baaten thin wo din kya guzarte the
wo soz-e-dil se bhar lata tha ashk-e-surKH aankhon mein
agar hum ji ki bechaini se aah-e-sard bharte the
kisi dhaDke se rote the jo baham wasl ki shab ko
wo hum ko man' karta tha hum us ko man' karte the
mili rahti thin aankhen ghalba-e-ulfat se aapas mein
na KHauf us ko kisi ka tha na hum logon se Darte the
so ab sad-haif us KHurshid-ru ke hijr mein 'jurat'
yahi raaten hain aur baaten hain wo din kya guzarte the
- Book : Roomani Ghazlen (Pg. 32)
- Author : Samina Hijab
- Publication : Maktaba Jamia Limited, New Delhi (1997)
- Edition : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.