hamein mahfil mein aankhon par biThaenge bhala wo kyun
hamein mahfil mein aankhon par biThaenge bhala wo kyun
Saima Jabeen Mahak
MORE BYSaima Jabeen Mahak
hameñ mahfil meñ āñkhoñ par biThā.eñge bhalā vo kyuuñ
ki rasm-e-dostī ham se nibhā.eñge bhalā vo kyuuñ
kiyā maḳhsūs hai ahbāb kā halqa unhoñne ab
yuuñ hāl-e-dil hameñ phir se sunā.eñge bhalā vo kyuuñ
kabhī the vo hamāre rāzdāñ jaañ bhī luTāte the
hamāre raaz saare ab chhupā.eñge bhalā vo kyuuñ
jo jiite jī hameñ zindāñ meñ dafnā kar yuuñ jaate haiñ
hamārī maut par aañsū bahā.enge bhalā vo kyuuñ
hameñ rusvā kiyā thā shahr se us ne nikālā thā
mohabbat se 'mahak' vāpas bulā.eñge bhalā vo kyuuñ
hamein mahfil mein aankhon par biThaenge bhala wo kyun
ki rasm-e-dosti hum se nibhaenge bhala wo kyun
kiya maKHsus hai ahbab ka halqa unhonne ab
yun haal-e-dil hamein phir se sunaenge bhala wo kyun
kabhi the wo hamare raazdan jaan bhi luTate the
hamare raaz sare ab chhupaenge bhala wo kyun
jo jite ji hamein zindan mein dafna kar yun jate hain
hamari maut par aansu bahaenge bhala wo kyun
hamein ruswa kiya tha shahr se us ne nikala tha
mohabbat se 'mahak' wapas bulaenge bhala wo kyun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.