hamein na aaj kisi gham pe jab hansi aai
hameñ na aaj kisī ġham pe jab hañsī aa.ī
to umr-e-rafta ne āvāz dī abhī aa.ī
hue haiñ mahv ham aise ki der tak ham ko
kisī ne dekhā to nazroñ meñ be-ruḳhī aa.ī
ga.ī thī saath vahāñ tak to dil kī betābi
hamāre saath kahāñ se ye be-dilī aa.ī
vo inqilāb-e-dil-e-dost aaj bhī na huā
ki jis ko dekhne ik 'umr lauT sī aa.ī
usī kī uchTī sī bāteñ jo aaj us se kahīñ
to der tak na suḳhan meñ shaguftagī aa.ī
vahī sadā mujhe ab ajnabī sī lagtī hai
hayāt-e-rafta palaT ab kaThin ghaḌī aa.ī
nigāh-e-dost bahut apnā haal jaan liyā
jo tujh meñ dard-bharī be-tavajjohī aa.ī
ḳhayāl-e-pursish-e-ġham to use bhī hai ai dil
tire nasīb jo ab tak na vo ghaḌī aa.ī
dil aur dard meñ barsoñ kī Than ga.ī hai yahāñ
kisī ke hone na hone se kyā kamī aa.ī
ye dil se uTh ke jo dard aa basā hai āñkhoñ meñ
na jaane yaad hameñ kaun sī ghaḌī aa.ī
lagī huī thiiñ ye āñkheñ bahut jo tum pe to aaj
unhīñ meñ ham ko nazar apnī be-kasī aa.ī
bil-āḳhir apne mizājoñ ke ho rahe qaa.il
agarche terī adāoñ kī yaad bhī aa.ī
qadam-qadam pe vo terī umiid sī kī nigāh
palaT ke rāste-bhar tujh ko dekhtī aa.ī
usī ke rang meñ ham aaj us se mil baiThe
usī ke sāmne aaj us kī sādgī aa.ī
yahāñ to ashk bhar aa.e ba-yād-e-pursish-e-ġham
vahāñ na jaane un āñkhoñ meñ kyoñ namī aa.ī
hamārī bazm-e-tasavvur meñ vo nigah na thī shoḳh
yahāñ to jab bhī vo aa.ī jhukī-jhukī aa.ī
kisī ko dekh ke tanhā.ī jaag uThtī hai
ki ye hai jis ke baġhair is qadar kamī aa.ī
ham apne dard ko anmol jānte the 'talḳh'
hameñ hayāt muravvat meñ bech bhī aa.ī
hamein na aaj kisi gham pe jab hansi aai
to umr-e-rafta ne aawaz di abhi aai
hue hain mahw hum aise ki der tak hum ko
kisi ne dekha to nazron mein be-ruKHi aai
gai thi sath wahan tak to dil ki betabi
hamare sath kahan se ye be-dili aai
wo inqilab-e-dil-e-dost aaj bhi na hua
ki jis ko dekhne ek 'umr lauT si aai
usi ki uchTi si baaten jo aaj us se kahin
to der tak na suKHan mein shaguftagi aai
wahi sada mujhe ab ajnabi si lagti hai
hayat-e-rafta palaT ab kaThin ghaDi aai
nigah-e-dost bahut apna haal jaan liya
jo tujh mein dard-bhari be-tawajjohi aai
KHayal-e-pursish-e-gham to use bhi hai ai dil
tere nasib jo ab tak na wo ghaDi aai
dil aur dard mein barson ki Than gai hai yahan
kisi ke hone na hone se kya kami aai
ye dil se uTh ke jo dard aa basa hai aankhon mein
na jaane yaad hamein kaun si ghaDi aai
lagi hui thin ye aankhen bahut jo tum pe to aaj
unhin mein hum ko nazar apni be-kasi aai
bil-aKHir apne mizajon ke ho rahe qail
agarche teri adaon ki yaad bhi aai
qadam-qadam pe wo teri umid si ki nigah
palaT ke raste-bhar tujh ko dekhti aai
usi ke rang mein hum aaj us se mil baiThe
usi ke samne aaj us ki sadgi aai
yahan to ashk bhar aae ba-yaad-e-pursish-e-gham
wahan na jaane un aankhon mein kyon nami aai
hamari bazm-e-tasawwur mein wo nigah na thi shoKH
yahan to jab bhi wo aai jhuki-jhuki aai
kisi ko dekh ke tanhai jag uThti hai
ki ye hai jis ke baghair is qadar kami aai
hum apne dard ko anmol jaante the 'talKH'
hamein hayat murawwat mein bech bhi aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.