hamein nayaft lamhon se mafar hota na ghar luTta
hameñ nāyāft lamhoñ se mafar hotā na ghar luTtā
ki pahlī barf-bārī meñ kahāñ zād-e-safar luTtā
kabhī vo bar-sar-e-paikār rahtā aap apne se
kabhī vo dūsroñ se dū-ba-dū zer-o-zabar luTtā
tumheñ is baat kā ehsās to hotā hazīmat par
sitāre TuuT kar girte agar ḳhvāb-e-sahar luTtā
ye dīvār-o-dar-o-mehrāb-o-mimbar hech haiñ phir bhī
hama-ālam ko luTnā hai magar tū baam par luTtā
tirī ūñchā.iyoñ ne qad ko chhoTā kar diyā sab ke
tujhe luTnā thā vus.at meñ agar be-bāl-o-par luTtā
koī āvāz pīchhe kī taraf muḌne ko kahtī hai
mire baazū qalam hote mire qadmoñ pe sar luTtā
tire dukh kī gavāhī chāñd taare bhī nahīñ dete
ki din bhar yuuñ paḌā sotā na aise raat bhar luTtā
ġhazal lutf-o-asar pā kar ba-tarz-e-'mīr' raqsāñ hai
chalo barpā kareñ mahfil chalo dekheñ sharar luTtā
'ḳhumār' aise safar meñ aañkh chhin jaatī to achchhā thā
kahīñ shāḳhoñ kā saudā aur kahīñ dekhā shajar luTtā
hamein nayaft lamhon se mafar hota na ghar luTta
ki pahli barf-bari mein kahan zad-e-safar luTta
kabhi wo bar-sar-e-paikar rahta aap apne se
kabhi wo dusron se du-ba-du zer-o-zabar luTta
tumhein is baat ka ehsas to hota hazimat par
sitare TuT kar girte agar KHwab-e-sahar luTta
ye diwar-o-dar-o-mehrab-o-mimbar hech hain phir bhi
hama-alam ko luTna hai magar tu baam par luTta
teri unchaiyon ne qad ko chhoTa kar diya sab ke
tujhe luTna tha wusat mein agar be-baal-o-par luTta
koi aawaz pichhe ki taraf muDne ko kahti hai
mere bazu qalam hote mere qadmon pe sar luTta
tere dukh ki gawahi chand tare bhi nahin dete
ki din bhar yun paDa sota na aise raat bhar luTta
ghazal lutf-o-asar pa kar ba-tarz-e-'mir' raqsan hai
chalo barpa karen mahfil chalo dekhen sharar luTta
'KHumar' aise safar mein aankh chhin jati to achchha tha
kahin shaKHon ka sauda aur kahin dekha shajar luTta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.