hamein pagal bana dene se pahle
hamein pagal bana dene se pahle
Shashank Singh Thakur Saahil
MORE BYShashank Singh Thakur Saahil
hameñ pāgal banā dene se pahle
batā dete sazā dene se pahle
zarā tahrīr ko to chuum lete
hamārā ḳhat jalā dene se pahle
musavvir aañkh meñ dariyā utāre
hañsī lab par sajā dene se pahle
mukar jaane kī aadat hai use bhī
koī va.ada nibhā dene se pahle
zarā socho ye chhappar jal gayā to
sharāroñ ko havā dene se pahle
gale mil ke bahut royā thā mujh se
merā bhaa.ī daġhā dene se pahle
hamāre zehn-o-dil meñ vo base the
magar 'sāhil' bhulā dene se pahle
hamein pagal bana dene se pahle
bata dete saza dene se pahle
zara tahrir ko to chum lete
hamara KHat jala dene se pahle
musawwir aankh mein dariya utare
hansi lab par saja dene se pahle
mukar jaane ki aadat hai use bhi
koi wada nibha dene se pahle
zara socho ye chhappar jal gaya to
shararon ko hawa dene se pahle
gale mil ke bahut roya tha mujh se
mera bhai dagha dene se pahle
hamare zehn-o-dil mein wo base the
magar 'sahil' bhula dene se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.