hamein pata bhi nahin kis ki wo kahani thi
hameñ patā bhī nahīñ kis kī vo kahānī thī
vo is qadar thī na.ī ki bahut purānī thī
kabhī jo dekh liyā us ko dekhte hī rahe
vo apne aap meñ Thahrī huī ravānī thī
tumhārī yaad kā rakkhā hai canvas varna
hamāre ḳhvāb ne sūrat na.ī banānī thī
tumhāre paas to qisse kahāniyāñ haiñ bahut
kabhī jo ham ne kahī bhī nahīñ sunānī thī
ye rishte naate faqat bojh thā ki Dhone the
vafā bhī sochiye aise hī bas nibhānī thī
vahīñ pe ḳhaak se milnā thā ḳhaak honā thā
usī ke shahr meñ shohrat agar kamānī thī
vo roz roz kā marnā kamāl thā lekin
ye zindagī to mirī jaan āzmānī thī
hamein pata bhi nahin kis ki wo kahani thi
wo is qadar thi nai ki bahut purani thi
kabhi jo dekh liya us ko dekhte hi rahe
wo apne aap mein Thahri hui rawani thi
tumhaari yaad ka rakkha hai canwas warna
hamare KHwab ne surat nai banani thi
tumhaare pas to qisse kahaniyan hain bahut
kabhi jo hum ne kahi bhi nahin sunani thi
ye rishte nate faqat bojh tha ki Dhone the
wafa bhi sochiye aise hi bas nibhani thi
wahin pe KHak se milna tha KHak hona tha
usi ke shahr mein shohrat agar kamani thi
wo roz roz ka marna kamal tha lekin
ye zindagi to meri jaan aazmani thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.