hamein shaghaf hai hamesha se nafsiyat ke sath
hameñ shaġhaf hai hamesha se nafsiyāt ke saath
'amal se baḌh ke 'amal ke muharrikāt ke saath
bhale fasāna sahī man-ghaḌat kahānī sahī
tirā bhī zikr to hotā hai merī baat ke saath
ġham-e-shikast manā.ūñ ki in ko pursa duuñ
hazār hausle TuuTe haiñ merī maat ke saath
banā na piñjra daraḳhtoñ kī shakl kā zālim
na aise khel parindoñ kī nafsiyāt ke saath
jhiḌaknā baat na sunñā galā dabā denā
mirā ‘umūmī ravayya hai ḳhvāhishāt ke saath
tamām rishtoñ kī mī'ād ik muqarrar hai
ab itnī 'aql to aatī hai tajrabāt ke saath
nahīñ hai koī tamanna na.ī mohabbat kī
maiñ jī rahā huuñ guzishta kī bāqiyāt ke saath
jahāñ ke rang meñ Dhaltā huuñ is liye ki kahīñ
mujhe sajā ke na rakh de navādirāt ke saath
hamāre haath meñ aa kar na jā sakegā kahīñ
hamārī shart lagī hai tumhāre haath ke saath
usī ke naam lagegā ye jurm-e-but-shikanī
ḳhazāna jis ne chhupāyā thā somnāt ke saath
nazar paḌe na kisī kī nazar milāte hue
vo log 'ishq bhī karte the ehtiyāt ke saath
hamein shaghaf hai hamesha se nafsiyat ke sath
'amal se baDh ke 'amal ke muharrikat ke sath
bhale fasana sahi man-ghaDat kahani sahi
tera bhi zikr to hota hai meri baat ke sath
gham-e-shikast manaun ki in ko pursa dun
hazar hausle TuTe hain meri mat ke sath
bana na pinjra daraKHton ki shakl ka zalim
na aise khel parindon ki nafsiyat ke sath
jhiDakna baat na sunna gala daba dena
mera ‘umumi rawayya hai KHwahishat ke sath
tamam rishton ki mi'ad ek muqarrar hai
ab itni 'aql to aati hai tajrabaat ke sath
nahin hai koi tamanna nai mohabbat ki
main ji raha hun guzishta ki baqiyat ke sath
jahan ke rang mein Dhalta hun is liye ki kahin
mujhe saja ke na rakh de nawadiraat ke sath
hamare hath mein aa kar na ja sakega kahin
hamari shart lagi hai tumhaare hath ke sath
usi ke nam lagega ye jurm-e-but-shikani
KHazana jis ne chhupaya tha somnat ke sath
nazar paDe na kisi ki nazar milate hue
wo log 'ishq bhi karte the ehtiyat ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.