hamein to ab ke bhi aai na ras tanhai
hameñ to ab ke bhī aa.ī na raas tanhā.ī
tumhīñ batāo ki hai kis ke paas tanhā.ī
use bhī ab ke bahut ranj-e-nārsā.ī hai
khaḌī hai shahr kī sarhad ke paas tanhā.ī
isī liye to na sahrā meñ hai na bastī meñ
ki ho na jaa.e kahīñ be-libās tanhā.ī
tavīl hijr ne donoñ ko yuuñ ḳharāb kiyā
ki us ke paas na ab mere paas tanhā.ī
añdherī raat meñ āñkhoñ meñ ḳhvāb kī sūrat
kabhī kabhī nazar aa.ī udaas tanhā.ī
hamein to ab ke bhi aai na ras tanhai
tumhin batao ki hai kis ke pas tanhai
use bhi ab ke bahut ranj-e-narsai hai
khaDi hai shahr ki sarhad ke pas tanhai
isi liye to na sahra mein hai na basti mein
ki ho na jae kahin be-libas tanhai
tawil hijr ne donon ko yun KHarab kiya
ki us ke pas na ab mere pas tanhai
andheri raat mein aankhon mein KHwab ki surat
kabhi kabhi nazar aai udas tanhai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.