hamein to harf-e-tamanna zaban pe lana hai
hameñ to harf-e-tamannā zabāñ pe laanā hai
ye sher aur ye ġhazleñ to bas bahānā hai
tumhāre haath kā patthar koī nayā to nahīñ
jabīñ se sañg kā rishta bahut purānā hai
ho tere husn kā jaadū ki merā josh-e-talab
nasha ye donoñ kā ik din utar hī jaanā hai
vo musht-e-ḳhāk-badan ho ki jaan kī ḳhushbū
har ek chiiz ko ik din bikhar hī jaanā hai
hai jazb-e-shauq barābar magar ba-faiz-e-anā
na ham hī jā.eñge un tak na un ko aanā hai
hamein to harf-e-tamanna zaban pe lana hai
ye sher aur ye ghazlen to bas bahana hai
tumhaare hath ka patthar koi naya to nahin
jabin se sang ka rishta bahut purana hai
ho tere husn ka jadu ki mera josh-e-talab
nasha ye donon ka ek din utar hi jaana hai
wo musht-e-KHak-badan ho ki jaan ki KHushbu
har ek chiz ko ek din bikhar hi jaana hai
hai jazb-e-shauq barabar magar ba-faiz-e-ana
na hum hi jaenge un tak na un ko aana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.