hamein to kal kisi agle nagar pahunchna hai
hameñ to kal kisī agle nagar pahuñchnā hai
matā-e-ḳhvāb tujhe ab kidhar pahuñchnā hai
karāhtā hai sar-e-rāh dard se koī
magar mujhe bhī to jaldī se ghar pahuñchnā hai
hamārā kyā hai kidhar jaa.eñ aur kab jaa.eñ
nikal paḌo ki tumheñ vaqt par pahuñchnā hai
kabhī to pā.egī anjām kashmakash dil kī
kahīñ to ma.arka-e-ḳhair-o-shar pahuñchnā hai
havāo kab se haiñ sakte meñ zard-rū ashjār
barā.e nauhagarī kab idhar pahuñchnā hai
hamein to kal kisi agle nagar pahunchna hai
mata-e-KHwab tujhe ab kidhar pahunchna hai
karahta hai sar-e-rah dard se koi
magar mujhe bhi to jaldi se ghar pahunchna hai
hamara kya hai kidhar jaen aur kab jaen
nikal paDo ki tumhein waqt par pahunchna hai
kabhi to paegi anjam kashmakash dil ki
kahin to marka-e-KHair-o-shar pahunchna hai
hawao kab se hain sakte mein zard-ru ashjar
barae nauhagari kab idhar pahunchna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.