hamein to lala-o-gul ab bhi sogwar mile
hameñ to lāla-o-gul ab bhī sogvār mile
jo ḳhūn-e-dil na jalāo to kyā bahār mile
ye kyā ki zaḳhm-e-jigar chashm-e-intizār mile
mile to sohbat-e-hūrān-e-gul-ezār mile
kahīñ to pahuñcheñ ye sahrā-navardiyāñ kab tak
vo mai-kada hī sahī gar na koī yaar mile
guloñ kā husn sabā kā ḳhirām rang-e-chaman
har ik adā meñ tirī mastī-e-bahār mile
haiñ tere shahr meñ kuchh to moallim-e-aḳhlāq
jinheñ ye fikr ki dāman na dāġh-dār mile
hamārī tarah jo mast-e-alast rahtī haiñ
unheñ na halqa-e-rindāñ na kū-e-yār mile
batāo tum ne bhī un meñ kisī ko chāhā hai
tumhāre chāhne vaale to be-shumār mile
kisī ko paayā hai ham ne jo be-misāl 'anjum'
qarār kho ke mile us se bār-bār mile
hamein to lala-o-gul ab bhi sogwar mile
jo KHun-e-dil na jalao to kya bahaar mile
ye kya ki zaKHm-e-jigar chashm-e-intizar mile
mile to sohbat-e-huran-e-gul-ezar mile
kahin to pahunchen ye sahra-nawardiyan kab tak
wo mai-kada hi sahi gar na koi yar mile
gulon ka husn saba ka KHiram rang-e-chaman
har ek ada mein teri masti-e-bahaar mile
hain tere shahr mein kuchh to moallim-e-aKHlaq
jinhen ye fikr ki daman na dagh-dar mile
hamari tarah jo mast-e-alast rahti hain
unhen na halqa-e-rindan na ku-e-yar mile
batao tum ne bhi un mein kisi ko chaha hai
tumhaare chahne wale to be-shumar mile
kisi ko paya hai hum ne jo be-misal 'anjum'
qarar kho ke mile us se bar-bar mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.