hamein to sahil-e-dariya ki pyas hona tha
hameñ to sāhil-e-dariyā kī pyaas honā thā
sukūt-e-hijr kā ik ġham-shanās honā thā
khulā hai is tarah ab ke na.ī rutoñ kā bharam
zamīñ ko itnā kahāñ be-libās honā thā
unheñ bhī vaqt ne patthar banā diyā jin ko
hamāre ahd kā ādam-shanās honā thā
pahan ke mujh ko ek roz tamanna kā libās
lahū lahū koī tasvīr-e-yās honā thā
bhaTak rahe ho kahāñ dost apne markaz se
tumheñ to 'faiz' ke dil ke hī paas honā thā
hamein to sahil-e-dariya ki pyas hona tha
sukut-e-hijr ka ek gham-shanas hona tha
khula hai is tarah ab ke nai ruton ka bharam
zamin ko itna kahan be-libas hona tha
unhen bhi waqt ne patthar bana diya jin ko
hamare ahd ka aadam-shanas hona tha
pahan ke mujh ko ek roz tamanna ka libas
lahu lahu koi taswir-e-yas hona tha
bhaTak rahe ho kahan dost apne markaz se
tumhein to 'faiz' ke dil ke hi pas hona tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.