Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hamein to sirf yahi ek KHushi hai thoDi bahut

meenakshi jijivisha

hamein to sirf yahi ek KHushi hai thoDi bahut

meenakshi jijivisha

MORE BYmeenakshi jijivisha

    hameñ to sirf yahī ik ḳhushī hai thoḌī bahut

    hamārī us se jo vābastagī hai thoḌī bahut

    is ik umiid pe sāgar use pukāregā

    nadī meñ ab bhī ravānī bachī hai thoḌī bahut

    jise tum ishq samajhne lage ho ujlat meñ

    vo kuchh nahīñ hai faqat dostī hai thoḌī bahut

    hamāre haal se vāqif karā.egī us ko

    jo ek khiḌkī abhī tak khulī hai thoḌī bahut

    palaT bhī aao hai antim paḌāv umr ye

    ki ab ye zindagī baaqī bachī hai thoḌī bahut

    tumhāre jaane se ye bhī na ḳhatm ho jaa.e

    jo shahr-e-dil meñ abhī raushnī hai thoḌī bahut

    chalā gayā hai vo sūraj par us ḳhayāl dhuup

    hamāre sahn meñ ab bhī khilī hai thoḌī bahut

    khulā ye ham pe tirī mahfiloñ se aate hue

    udāsī dil meñ jagah kar chukī hai thoḌī bahut

    hamein to sirf yahi ek KHushi hai thoDi bahut

    hamari us se jo wabastagi hai thoDi bahut

    is ek umid pe sagar use pukarega

    nadi mein ab bhi rawani bachi hai thoDi bahut

    jise tum ishq samajhne lage ho ujlat mein

    wo kuchh nahin hai faqat dosti hai thoDi bahut

    hamare haal se waqif karaegi us ko

    jo ek khiDki abhi tak khuli hai thoDi bahut

    palaT bhi aao hai antim paDaw umr ka ye

    ki ab ye zindagi baqi bachi hai thoDi bahut

    tumhaare jaane se ye bhi na KHatm ho jae

    jo shahr-e-dil mein abhi raushni hai thoDi bahut

    chala gaya hai wo suraj par us KHayal ki dhup

    hamare sahn mein ab bhi khili hai thoDi bahut

    khula ye hum pe teri mahfilon se aate hue

    udasi dil mein jagah kar chuki hai thoDi bahut

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now