hamein tujhse nahin ai zindagi karna gila koi
hameñ tujh se nahīñ ai zindagī karnā gila koī
nahīñ denā thā tū ne gar jo karte bhī sila koī
tavaqqo' ab ke insānoñ se rakhnā bhī hai nādānī
ki patthar se kisī ko hai kabhī gauhar milā koī
hamesha nā-tavāñ mazlūm kā hī dil hai kyoñ TuuTā
kabhī to zālim-o-jābir kā bhī de dil hilā koī
vahāñ bhī rog haiñ hai be-ruḳhī be-e'tinā.ī hai
yahāñ shiddat se marg-e-hijr meñ hai mubtalā koī
hamein tujh se nahin ai zindagi karna gila koi
nahin dena tha tu ne gar jo karte bhi sila koi
tawaqqo' ab ke insanon se rakhna bhi hai nadani
ki patthar se kisi ko hai kabhi gauhar mila koi
hamesha na-tawan mazlum ka hi dil hai kyon TuTa
kabhi to zalim-o-jabir ka bhi de dil hila koi
wahan bhi rog hain hai be-ruKHi be-e'tinai hai
yahan shiddat se marg-e-hijr mein hai mubtala koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.