hamesha dhup dekhi saeban mein
hamesha dhuup dekhī sā.ebāñ meñ
hai talḳhī is liye mere bayāñ meñ
rahe naqsh-e-qadam mere numāyāñ
huā shāmil maiñ jab se kārvāñ meñ
ilāhī ḳhair ho ab gulsitāñ kī
bahāreñ aa rahī haiñ gulsitāñ meñ
hue haiñ munjamid jab se anāsir
haiñ tab se mubtalā ham imtihāñ meñ
añdheroñ ke makīnoñ se ye kah do
ujāle haiñ 'sharar' kī dāstāñ meñ
hamesha dhup dekhi saeban mein
hai talKHi is liye mere bayan mein
rahe naqsh-e-qadam mere numayan
hua shamil main jab se karwan mein
ilahi KHair ho ab gulsitan ki
bahaaren aa rahi hain gulsitan mein
hue hain munjamid jab se anasir
hain tab se mubtala hum imtihan mein
andheron ke makinon se ye kah do
ujale hain 'sharar' ki dastan mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.