hamesha dur rah kar bhi hamesha pas hota hai
hamesha duur rah kar bhī hamesha paas hotā hai
mohabbat meñ koī ik shaḳhs kitnā ḳhaas hotā hai
kisī se dil hī dil meñ rūThnā phir ḳhud hī man jaanā
gumāñ is par ki shāyad us ko bhī ehsās hotā hai
kisī ke saath rahnā aur vo bhī ajnabī ban kar
kisī ko kyā patā kitnā baḌā ban-bās hotā hai
bikhartā jaatā hai har sū mahaktā mushk-bū lahja
ḳhudā mālūm kab tak bar-sar-e-qirtās hotā hai
sunā hai log is sahrā meñ bhī sairāb hote haiñ
vahī sahrā jo shāyad aap apnī pyaas hotā hai
ye ham hī haiñ jo aa jaate haiñ bātoñ meñ zamāne kī
zamāne bhar kī bātoñ par kise vishvās hotā hai
ye mastī hai junūn-e-ishq kī taarī hai jo mujh par
ye kis ne kah diyā har shaḳhs hī raqqās hotā hai
vo ra.anā.ī hī ra.anā.ī hai zebā us ko yaktā.ī
ki jis kā zikr misl-e-sūra-e-iḳhlās hotā hai
ye kaisī marg-āsā chup lagī hai āj-kal 'sīmā'
sunā thā dard kā lahja baḌā hassās hotā hai
hamesha dur rah kar bhi hamesha pas hota hai
mohabbat mein koi ek shaKHs kitna KHas hota hai
kisi se dil hi dil mein ruThna phir KHud hi man jaana
guman is par ki shayad us ko bhi ehsas hota hai
kisi ke sath rahna aur wo bhi ajnabi ban kar
kisi ko kya pata kitna baDa ban-bas hota hai
bikharta jata hai har su mahakta mushk-bu lahja
KHuda malum kab tak bar-sar-e-qirtas hota hai
suna hai log is sahra mein bhi sairab hote hain
wahi sahra jo shayad aap apni pyas hota hai
ye hum hi hain jo aa jate hain baaton mein zamane ki
zamane bhar ki baaton par kise wishwas hota hai
ye masti hai junun-e-ishq ki tari hai jo mujh par
ye kis ne kah diya har shaKHs hi raqqas hota hai
wo ranai hi ranai hai zeba us ko yaktai
ki jis ka zikr misl-e-sura-e-iKHlas hota hai
ye kaisi marg-asa chup lagi hai aaj-kal 'sima'
suna tha dard ka lahja baDa hassas hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.