hamesha ghamza-o-ishwa dikhao
hamesha ġhamza-o-ishva dikhāo
dil-e-hukkām pe nashtar chalāo
na ho jazba magar aañsū girāo
na ho ḳhvāhish magar dāñteñ dikhāo
diloñ ko chhed do barbād kar do
dikhāo chamchagī bijlī girāo
tumhārī saif meñ hoñge ḳhazīne
rahegā ghar meñ ḳhushiyoñ kā paḌāv
tumhārī āñtoñ meñ hogā polāv
jhapaT kar boss kī chilman uThāo
jahāñ bhī dekh lo hākim kī sūrat
zamīñ par leT jaao dum hilāo
hamesha ghamza-o-ishwa dikhao
dil-e-hukkaam pe nashtar chalao
na ho jazba magar aansu girao
na ho KHwahish magar danten dikhao
dilon ko chhed do barbaad kar do
dikhao chamchagi bijli girao
tumhaari saif mein honge KHazine
rahega ghar mein KHushiyon ka paDaw
tumhaari aanton mein hoga polaw
jhapaT kar boss ki chilman uThao
jahan bhi dekh lo hakim ki surat
zamin par leT jao dum hilao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.