hamesha jhuT jo kahta raha sachcha nazar aaya
hamesha jhuuT jo kahtā rahā sachchā nazar aayā
burā.ī jis kī fitrat hai vahī achchhā nazar aayā
hamāre daur meñ qadroñ kī pāmālī huī aisī
buzurgoñ ke muqābil aaj kā bachcha nazar aayā
vo dahshat-gard ke kartūt the lekin zamāne ko
dhamākoñ ke pas-e-manzar mirā chehra nazar aayā
sajā kar pyaas hoñToñ par qarīb aayā jo maiñ us ke
vo dariyā bhī chamaktī ret kā sahrā nazar aayā
thiiñ jis ke dam se qaa.em anjuman kī raunaqeñ saarī
mujhe vo shaḳhs apnī zaat meñ tanhā nazar aayā
'sa.īd' us kī ġhazal yuuñ to bahut hī ḳhūbsūrat thī
magar kuchh sher the jin meñ mujhe sarqa nazar aayā
hamesha jhuT jo kahta raha sachcha nazar aaya
burai jis ki fitrat hai wahi achchha nazar aaya
hamare daur mein qadron ki pamali hui aisi
buzurgon ke muqabil aaj ka bachcha nazar aaya
wo dahshat-gard ke kartut the lekin zamane ko
dhamakon ke pas-e-manzar mera chehra nazar aaya
saja kar pyas honTon par qarib aaya jo main us ke
wo dariya bhi chamakti ret ka sahra nazar aaya
thin jis ke dam se qaem anjuman ki raunaqen sari
mujhe wo shaKHs apni zat mein tanha nazar aaya
'said' us ki ghazal yun to bahut hi KHubsurat thi
magar kuchh sher the jin mein mujhe sarqa nazar aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.