hamesha jitne wala kabhi to haara bhi ho
hamesha jītne vaalā kabhī to haarā bhī ho
mohabbatoñ meñ koī faisla hamārā bhī ho
maiñ is kināre pe baiThā huuñ aur sochtā huuñ
mirī giraft meñ dariyā kā vo kinārā bhī ho
ye shahr chhoḌnā mushkil to hai magar sar-e-dast
kisī ko merā Thaharnā yahāñ gavārā bhī ho
mujhe qubūl nahīñ tohmat-e-duā aur vo
ye chāhtā hai kisī ne use pukārā bhī ho
maiñ āftāb nahīñ huuñ magar kabhī 'shahzād'
mire madār meñ us shaḳhs kā sitārā bhī ho
hamesha jitne wala kabhi to haara bhi ho
mohabbaton mein koi faisla hamara bhi ho
main is kinare pe baiTha hun aur sochta hun
meri giraft mein dariya ka wo kinara bhi ho
ye shahr chhoDna mushkil to hai magar sar-e-dast
kisi ko mera Thaharna yahan gawara bhi ho
mujhe qubul nahin tohmat-e-dua aur wo
ye chahta hai kisi ne use pukara bhi ho
main aaftab nahin hun magar kabhi 'shahzad'
mere madar mein us shaKHs ka sitara bhi ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.