hamesha KHud ko bahlata raha main is kahani se
hamesha ḳhud ko bahlātā rahā maiñ is kahānī se
na.ī tasvīr ko behtar banā.ūñgā purānī se
mohabbat zulm kab hotī hai tum ko vo batā.eñge
hue barbād jo paude ziyāda dhuup paanī se
zabān-e-ḳhāmushī mujh ko samajh aatī hai itnī ab
kamā saktā huuñ apnī roTī is kī tarjumānī se
koī bhī chiiz ho duniyā ne ham se pahle kī hogī
kahāñ jītegī apnī mail vo bhī rājdhānī se
hamesha KHud ko bahlata raha main is kahani se
nai taswir ko behtar banaunga purani se
mohabbat zulm kab hoti hai tum ko wo bataenge
hue barbaad jo paude ziyaada dhup pani se
zaban-e-KHamushi mujh ko samajh aati hai itni ab
kama sakta hun apni roTi is ki tarjumani se
koi bhi chiz ho duniya ne hum se pahle ki hogi
kahan jitegi apni mail wo bhi rajdhani se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.