hamesha KHush raho tum aur dua kya
hamesha ḳhush raho tum aur duā kyā
ba-juz is ke faqīroñ kī sadā kyā
hasīnoñ kī jafāoñ kā gila kyā
sitam-gāroñ se ummīd-e-vafā kyā
zarā aane to do fasl-e-bahārāñ
abhī zikr-e-junūn-e-fitna-zā kyā
mizāj-e-husn se maiñ āshnā huuñ
na pūchho dil kā mere mudda.ā kyā
fuzūñ-tar ho ga.e kuchh ġham hamāre
ba-juz is ke mohabbat meñ milā kyā
shikāyat hai to baḳht-e-nā-rasā se
hasīnoñ se taġhāful kā gila kyā
agar vo duur haiñ merī nazar se
to aisī zindagī kā phir mazā kyā
junūn-e-ishq se ghabrā rahā huuñ
na kah de vo kahīñ us ko huā kyā
samajh kar mujh ko dīvāna vo 'aslam'
ḳhudā-ma.alūm farmā.eñ sazā kyā
hamesha KHush raho tum aur dua kya
ba-juz is ke faqiron ki sada kya
hasinon ki jafaon ka gila kya
sitam-garon se ummid-e-wafa kya
zara aane to do fasl-e-bahaaran
abhi zikr-e-junun-e-fitna-za kya
mizaj-e-husn se main aashna hun
na puchho dil ka mere muddaa kya
fuzun-tar ho gae kuchh gham hamare
ba-juz is ke mohabbat mein mila kya
shikayat hai to baKHt-e-na-rasa se
hasinon se taghaful ka gila kya
agar wo dur hain meri nazar se
to aisi zindagi ka phir maza kya
junun-e-ishq se ghabra raha hun
na kah de wo kahin us ko hua kya
samajh kar mujh ko diwana wo 'aslam'
KHuda-malum farmaen saza kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.