Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hamesha ki tarah banhen meri patwar karne ka

Khaavar Jilani

hamesha ki tarah banhen meri patwar karne ka

Khaavar Jilani

MORE BYKhaavar Jilani

    hamesha tarah bāñheñ mirī patvār karne

    kiyā hai faisla naav ne dariyā paar karne

    vahī hai mashġhala sadiyoñ purānā aaj bhī apnā

    zamīñ par bojh hone āsmāñ ko baar karne

    safar marhala to ba.ad meñ mahl-e-nazar hogā

    abhī to mudda.ā hai rāsta pur-ḳhār karne

    ta.alluq TūTtā jaatā hai apne-āp se merā

    tavassut ban rahī hai āgahī bezār karne

    mujhe rakhtī hai mushkil roz-marra sahūlat meñ

    mirā ma.amūl hai āsāniyāñ dushvār karne

    tamaddun ko havā detī hai āshufta-sarī merī

    mujhe ta.amīr kartā hai junūñ mismār karne

    kahāñ tak aur jaane āzmātī jā.egī mujh par

    hunar jo jāntī hai shā.erī bekār karne

    vo kuchh se kuchh banā Dālegā taslīmat ke ma.anī

    salīqa aa gayā us ko agar inkār karne

    na jaane soch kar sūraj ne kyā shab qalam-rau par

    irāda multavī kar diyā yalġhār karne

    hamesha ki tarah banhen meri patwar karne ka

    kiya hai faisla naw ne dariya par karne ka

    wahi hai mashghala sadiyon purana aaj bhi apna

    zamin par bojh hone aasman ko bar karne ka

    safar ka marhala to baad mein mahl-e-nazar hoga

    abhi to muddaa hai rasta pur-KHar karne ka

    talluq TuTta jata hai apne-ap se mera

    tawassut ban rahi hai aagahi bezar karne ka

    mujhe rakhti hai mushkil roz-marra ki sahulat mein

    mera mamul hai aasaniyan dushwar karne ka

    tamaddun ko hawa deti hai aashufta-sari meri

    mujhe tamir karta hai junun mismar karne ka

    kahan tak aur jaane aazmati jaegi mujh par

    hunar jo jaanti hai shaeri bekar karne ka

    wo kuchh se kuchh bana Dalega taslimat ke mani

    saliqa aa gaya us ko agar inkar karne ka

    na jaane soch kar suraj ne kya shab ki qalam-rau par

    irada multawi hi kar diya yalghaar karne ka

    Source :
    • Book : namood (Pg. 151)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now