Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hamesha lab pe miThe bol rakhna

Sarvat Zaidi Bhopali

hamesha lab pe miThe bol rakhna

Sarvat Zaidi Bhopali

MORE BYSarvat Zaidi Bhopali

    hamesha lab pe mīThe bol rakhnā

    mohabbat ke darīche khol rakhnā

    fasād-o-ḳhauf āb-o-havā hai

    shahar meñ amn māhaul rakhnā

    yahī to rāste haiñ zindagī ke

    ḳhulūs-o-pyār meñ mat jhol rakhnā

    mirī fitrat ye sheva nahīñ hai

    kisī ke sāmne kashkol rakhnā

    mohabbat chāñd se bhī qīmtī hai

    nahīñ āsān us mol rakhnā

    kisī ke vāste kuchh bhī kaho tum

    magar alfāz pahle tol rakhnā

    muḳhālif hoñ havā.eñ ġham nahīñ hai

    parindoñ tarah par khol rakhnā

    yaqīnan jiit loge khel 'sarvat'

    nazar meñ zindagī goal rakhnā

    hamesha lab pe miThe bol rakhna

    mohabbat ke dariche khol rakhna

    fasad-o-KHauf ki aab-o-hawa hai

    shahar mein amn ka mahaul rakhna

    yahi to raste hain zindagi ke

    KHulus-o-pyar mein mat jhol rakhna

    meri fitrat ka ye shewa nahin hai

    kisi ke samne kashkol rakhna

    mohabbat chand se bhi qimti hai

    nahin aasan us ka mol rakhna

    kisi ke waste kuchh bhi kaho tum

    magar alfaz pahle tol rakhna

    muKHalif hon hawaen gham nahin hai

    parindon ki tarah par khol rakhna

    yaqinan jit loge khel 'sarwat'

    nazar mein zindagi ka goal rakhna

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now