hamesha muztarib maujon ko rakkha hai samundar ne
hamesha muztarib maujoñ ko rakkhā hai samundar ne
safar kā isti.āra ban ke rahnā hai samundar ne
mirī ḳhushiyoñ ke mol us ne ḳharīdā hai nasha apnā
mire har chāñd ko ḳhud meñ Duboyā hai samundar ne
ajab tūfān-e-ġharrāñ hai bapā har fard-e-ḳhāna meñ
isī dālān se jaise guzarnā hai samundar ne
ye musht-e-ḳhāk ne pūchhā hai aksar mauj meñ aa kar
koī tūfān mujh jaisā bhī dekhā hai samundar ne
maiñ apne aap se bach kar kahīñ bhī jā nahīñ saktā
mujhe chāroñ taraf se gher rakkhā hai samundar ne
koī bāhar nikaltā hī nahīñ apne jazīre se
isī baa.is to itnā sar uThāyā hai samundar ne
kisī kā naam chhede jā rahā huuñ kis bharose par
mirā reg-e-badan jab noch lenā hai samundar ne
hamesha muztarib maujon ko rakkha hai samundar ne
safar ka istiara ban ke rahna hai samundar ne
meri KHushiyon ke mol us ne KHarida hai nasha apna
mere har chand ko KHud mein Duboya hai samundar ne
ajab tufan-e-gharran hai bapa har fard-e-KHana mein
isi dalan se jaise guzarna hai samundar ne
ye musht-e-KHak ne puchha hai aksar mauj mein aa kar
koi tufan mujh jaisa bhi dekha hai samundar ne
main apne aap se bach kar kahin bhi ja nahin sakta
mujhe chaaron taraf se gher rakkha hai samundar ne
koi bahar nikalta hi nahin apne jazire se
isi bais to itna sar uThaya hai samundar ne
kisi ka nam chhede ja raha hun kis bharose par
mera reg-e-badan jab noch lena hai samundar ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.