hamesha sair-e-gul-o-lala-zar baqi hai
hamesha sair-e-gul-o-lala-zar baqi hai
Mirza Maseeta Beg Muntahi
MORE BYMirza Maseeta Beg Muntahi
hamesha sair-e-gul-o-lāla-zār baaqī hai
agar baġhal meñ dil-e-dāġh-dār baaqī hai
tufail-e-rūh mirā jism-e-zār baaqī hai
havā ke dam se ye musht-e-ġhubār baaqī hai
baġhair rūh-e-ravāñ jism-e-zār baaqī hai
nikal ga.ī hai savārī ġhubār baaqī hai
bahār meñ tujhe naale sunā.ūñgā bulbul
agar ye zindagī-e-musta'ār baaqī hai
kahūñgā yaar se ik roz haath phailā ke
mujhe bhī hasrat-e-bos-o-kanār baaqī hai
jahāñ ko chashm-e-haqīqat se dekh o ġhāfil
khulī hai aañkh abhī iḳhtiyār baaqī hai
umiid hai hameñ fardā ho yā pas-fardā
zarūr ho.egī sohbat vo yaar baaqī hai
hamesha sair-e-gul-o-lala-zar baqi hai
agar baghal mein dil-e-dagh-dar baqi hai
tufail-e-ruh mera jism-e-zar baqi hai
hawa ke dam se ye musht-e-ghubar baqi hai
baghair ruh-e-rawan jism-e-zar baqi hai
nikal gai hai sawari ghubar baqi hai
bahaar mein tujhe nale sunaunga bulbul
agar ye zindagi-e-musta'ar baqi hai
kahunga yar se ek roz hath phaila ke
mujhe bhi hasrat-e-bos-o-kanar baqi hai
jahan ko chashm-e-haqiqat se dekh o ghafil
khuli hai aankh abhi iKHtiyar baqi hai
umid hai hamein farda ho ya pas-farda
zarur hoegi sohbat wo yar baqi hai
- Deewan-e-MuntahiáKaristan-e-Fasahatâ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.