hamesha uski manen ye gawara bhi nahin hota
hamesha us kī māneñ ye gavārā bhī nahīñ hotā
baġhair us shaḳhs ke lekin guzārā bhī nahīñ hotā
ḳhudā jaane ki ab yūsuf ḳharīde kyoñ nahīñ jaate
ba-zāhir is tijārat meñ ḳhasāra bhī nahīñ hotā
zarūrī to nahīñ ki har duā manzūr ho jaa.e
magar is se baḌā koī sahārā bhī nahīñ hotā
mohabbat kī harārat se pighal jaate haiñ patthar bhī
savā neze pe sūraj ko utārā bhī nahīñ hotā
yūñhī mānūs āvāzeñ sunā.ī detī rahtī haiñ
kisī ne jaane vaale ko pukārā bhī nahīñ hotā
ta.alluq sab se rakhte haiñ magar terī vasātat se
tumhārā jo nahīñ hotā hamārā bhī nahīñ hotā
hamesha us ki manen ye gawara bhi nahin hota
baghair us shaKHs ke lekin guzara bhi nahin hota
KHuda jaane ki ab yusuf KHaride kyon nahin jate
ba-zahir is tijarat mein KHasara bhi nahin hota
zaruri to nahin ki har dua manzur ho jae
magar is se baDa koi sahaara bhi nahin hota
mohabbat ki hararat se pighal jate hain patthar bhi
sawa neze pe suraj ko utara bhi nahin hota
yunhi manus aawazen sunai deti rahti hain
kisi ne jaane wale ko pukara bhi nahin hota
talluq sab se rakhte hain magar teri wasatat se
tumhaara jo nahin hota hamara bhi nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.