hamesha warghalate ho KHuda ghaarat kare tumko
hamesha varġhalāte ho ḳhudā ġhārat kare tum ko
hamārā dil dukhāte ho ḳhudā ġhārat kare tum ko
ye kyā tarz-e-mohabbat hai murādeñ ġhair ko lekin
hameñ ullū banāte ho ḳhudā ġhārat kare tum ko
adū ko pesh karte ho sharāb-e-añgbīñ jānam
hameñ talchhaT pilāte ho ḳhudā ġhārat kare tum ko
tumheñ hai ġhair se chāhat kahe kuchh bhī vo karte ho
pe ham ko āzmāte ho ḳhudā ġhārat kare tum ko
use bose hameñ lāteñ use va.ade hameñ ghāteñ
ye kaise gul khilāte ho ḳhudā ġhārat kare tum ko
agar kahnā ho kuchh ham se hamesha ghuur kar dekho
adū par muskurāte ho ḳhudā ġhārat kare tum ko
nazar mujh par jamāte ho pe dekho ġhair kī jānib
ye kyā chakkar chalāte ho ḳhudā ġhārat kare tum ko
mirā qasr-e-tamannā toḌ kar 'anvar' magar ab kyoñ
na.e sapne dikhāte ho ḳhudā ġhārat kare tum ko
hamesha warghalate ho KHuda ghaarat kare tum ko
hamara dil dukhate ho KHuda ghaarat kare tum ko
ye kya tarz-e-mohabbat hai muraden ghair ko lekin
hamein ullu banate ho KHuda ghaarat kare tum ko
adu ko pesh karte ho sharab-e-angbin jaanam
hamein talchhaT pilate ho KHuda ghaarat kare tum ko
tumhein hai ghair se chahat kahe kuchh bhi wo karte ho
pe hum ko aazmate ho KHuda ghaarat kare tum ko
use bose hamein laten use wade hamein ghaten
ye kaise gul khilate ho KHuda ghaarat kare tum ko
agar kahna ho kuchh hum se hamesha ghur kar dekho
adu par muskuraate ho KHuda ghaarat kare tum ko
nazar mujh par jamate ho pe dekho ghair ki jaanib
ye kya chakkar chalate ho KHuda ghaarat kare tum ko
mera qasr-e-tamanna toD kar 'anwar' magar ab kyon
nae sapne dikhate ho KHuda ghaarat kare tum ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.