hamin akele nahin zindagi se haare hue
hamīñ akele nahīñ zindagī se haare hue
bahut se log khaḌe haiñ badan utāre hue
ka.ī 'azīz the jin se bichhaḌ ga.e haiñ ham
taraqqiyoñ ke safar meñ bahut ḳhasāre hue
kisī ko dard bhī apnā batā nahīñ sakte
haiñ mushkiloñ meñ bahut raushnī ke maare hue
kisī ne dekhā nahīñ ās-pās thī jannat
the āsmāñ kī taraf haath sab pasāre hue
nazar milāne kī himmat kahāñ se aa.egī
palaT kar ā.eñge alfāz jab pukāre hue
hamin akele nahin zindagi se haare hue
bahut se log khaDe hain badan utare hue
kai 'aziz the jin se bichhaD gae hain hum
taraqqiyon ke safar mein bahut KHasare hue
kisi ko dard bhi apna bata nahin sakte
hain mushkilon mein bahut raushni ke mare hue
kisi ne dekha nahin aas-pas thi jannat
the aasman ki taraf hath sab pasare hue
nazar milane ki himmat kahan se aaegi
palaT kar aaenge alfaz jab pukare hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.