hamin hain jo teri ek ik ada ko jaan lete hain
hamīñ haiñ jo tirī ik ik adā ko jaan lete haiñ
ġham-e-duniyā tujhe har rang meñ pahchān lete haiñ
kabhī ahl-e-ḳhirad se mashvara lene nahīñ jaate
junūn-e-shauq kī har baat lekin maan lete haiñ
tire bhīge hue bāloñ ko ham ne chhū ke dekhā hai
vo ḳhushbū hai ki fasl-e-gul kī aahaT jaan lete haiñ
vahī insāf ke qātil nazar aa.e zamāne meñ
jo apne haath meñ insāf kī mīzān lete haiñ
ġhazal to zindagī kī dhaḌkanoñ kā naam hai 'shabnam'
ġhazab karte haiñ jo lafzoñ kī chādar taan lete haiñ
hamin hain jo teri ek ek ada ko jaan lete hain
gham-e-duniya tujhe har rang mein pahchan lete hain
kabhi ahl-e-KHirad se mashwara lene nahin jate
junun-e-shauq ki har baat lekin man lete hain
tere bhige hue baalon ko hum ne chhu ke dekha hai
wo KHushbu hai ki fasl-e-gul ki aahaT jaan lete hain
wahi insaf ke qatil nazar aae zamane mein
jo apne hath mein insaf ki mizan lete hain
ghazal to zindagi ki dhaDkanon ka nam hai 'shabnam'
ghazab karte hain jo lafzon ki chadar tan lete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.