hamin hain mashq-e-sitam-ha-e-asman ke liye
hamīñ haiñ mashq-e-sitam-hā-e-āsmāñ ke liye
chune ga.e haiñ hamīñ yās-e-jāvedāñ ke liye
qasam ḳhudā kī nahīñ shauq-e-zindagī ham ko
hameñ ye chāhiye us husn-e-jāñ-sitāñ ke liye
izāfa aur ġham-e-jāñ-sitāñ meñ hotā hai
asar banā hī nahīñ hai mirī fuġhāñ ke liye
ḳhabar nahīñ mirā tinkoñ kā ek jā karnā
hai bijliyoñ ke liye yā ki āshiyāñ ke liye
kisī kī teġh gale par chale to kyā us se
kahāñ nashāt-e-shahādat hai saḳht-jāñ ke liye
hazāroñ zulm vo kartā hai is bahāne se
adā tumhārī khilaunā hai āsmāñ ke liye
vo jo hai saare zamāne kā juz tire 'bedil'
taḌap ye hai usī begāna mehrbāñ ke liye
hamin hain mashq-e-sitam-ha-e-asman ke liye
chune gae hain hamin yas-e-jawedan ke liye
qasam KHuda ki nahin shauq-e-zindagi hum ko
hamein ye chahiye us husn-e-jaan-sitan ke liye
izafa aur gham-e-jaan-sitan mein hota hai
asar bana hi nahin hai meri fughan ke liye
KHabar nahin mera tinkon ka ek ja karna
hai bijliyon ke liye ya ki aashiyan ke liye
kisi ki tegh gale par chale to kya us se
kahan nashat-e-shahadat hai saKHt-jaan ke liye
hazaron zulm wo karta hai is bahane se
ada tumhaari khilauna hai aasman ke liye
wo jo hai sare zamane ka juz tere 'bedil'
taDap ye hai usi begana mehrban ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.