hamin hain wo ki jinhen baam-o-dar se raghbat thi
hamīñ haiñ vo ki jinheñ bām-o-dar se raġhbat thī
ki dar-ba-dar bhī agar the to ghar se raġhbat thī
ham apne hāl-e-digar-gūñ kī ab ḳhabar kyā deñ
ḳhabar yahī hai ki ik be-ḳhabar se raġhbat thī
jabīñ pe ḳhāk-e-nadāmat sajā.e phirte haiñ
ki raqs-e-sho.ala-e-sarv-o-sharar se raġhbat thī
shikasta-pā hī nahīñ ham shikasta-ḳhvāb bhī haiñ
ki qāfile se fazā-e-safar se raġhbat thī
ab ek manzil-e-āḳhir ke muntazir haiñ ham
vo din bhī the ki kisī rahguzar se raġhbat thī
dhulī dhulā.ī huī zindagī ko kyā mālūm
ki ik chakor ko dāġh-e-qamar se raġhbat thī
hamin hain wo ki jinhen baam-o-dar se raghbat thi
ki dar-ba-dar bhi agar the to ghar se raghbat thi
hum apne haal-e-digar-gun ki ab KHabar kya den
KHabar yahi hai ki ek be-KHabar se raghbat thi
jabin pe KHak-e-nadamat sajae phirte hain
ki raqs-e-shoala-e-sarw-o-sharar se raghbat thi
shikasta-pa hi nahin hum shikasta-KHwab bhi hain
ki qafile se faza-e-safar se raghbat thi
ab ek manzil-e-aKHir ke muntazir hain hum
wo din bhi the ki kisi rahguzar se raghbat thi
dhuli dhulai hui zindagi ko kya malum
ki ek chakor ko dagh-e-qamar se raghbat thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.