hamin karte the din raushan tumhaara
hamīñ karte the din raushan tumhārā
hamīñ se bhar gayā ab man tumhārā
udāsī aa lage mere gale se
ho ḳhushiyoñ se bharā dāman tumhārā
kisī ne pūchhā thā ham se ḳhudā hai
zabāñ pe naam thā rasman tumhārā
diloñ ko toḌnā tum jānte ho
yahī to hai mirī jaañ fan tumhārā
haiñ siitā kī tarah ham ghar se nikle
to ya.anī raam sā thā man tumhārā
usī āñgan ke TukḌe kar rahe ho
jahāñ khelā kabhī bachpan tumhārā
hamin karte the din raushan tumhaara
hamin se bhar gaya ab man tumhaara
udasi aa lage mere gale se
ho KHushiyon se bhara daman tumhaara
kisi ne puchha tha hum se KHuda hai
zaban pe nam tha rasman tumhaara
dilon ko toDna tum jaante ho
yahi to hai meri jaan fan tumhaara
hain sita ki tarah hum ghar se nikle
to yani ram sa tha man tumhaara
usi aangan ke TukDe kar rahe ho
jahan khela kabhi bachpan tumhaara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.