hamin na hote to hoti kahan ki virani
hamīñ na hote to hotī kahāñ kī vīrānī
makīñ ke hone se hī hai makāñ kī vīrānī
ziyāñ nafā lisān-o-zabā,n kī vīrānī
tire baġhair hai āh-o-fuġhāñ kī vīrānī
tire gumān se merā yaqīn vīrāñ hai
mire yaqīñ se hai tire gumāñ kī vīrānī
tumhāre saath hai duniyā-o-āḳhirat merī
tumhāre baad mire do jahāñ kī vīrānī
tamām raat koī phuuT phuuT kar royā
tamām shab thī kisī āstāñ kī vīrānī
hamin na hote to hoti kahan ki virani
makin ke hone se hi hai makan ki virani
ziyan nafa lisan-o-zaba,n ki virani
tere baghair hai aah-o-fughan ki virani
tere guman se mera yaqin viran hai
mere yaqin se hai tere guman ki virani
tumhaare sath hai duniya-o-aKHirat meri
tumhaare baad mere do jahan ki virani
tamam raat koi phuT phuT kar roya
tamam shab thi kisi aastan ki virani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.