Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hamin nahin gham-o-alam ke satae hue

Sahir Lakhnavi

hamin nahin gham-o-alam ke satae hue

Sahir Lakhnavi

MORE BYSahir Lakhnavi

    hamīñ nahīñ ġham-o-ālām ke satā.e hue

    har ek shaḳhs koī dard hai chhupā.e hue

    tumhīñ ko yaaro mubārak hoñ sāġhar-o-mīnā

    vo din ga.e the jo ham mai-kada sajā.e hue

    sabhī ko chāhiye saaqī multafit nazreñ

    magar hai sāqī-e-daurāñ nazar chhupā.e hue

    baḌe jatan se jinheñ muntaḳhab kiyā ham ne

    vahī sire se hamīñ ko haiñ kyoñ bhulā.e hue

    chale bhī aao shab-e-hijr baḌhtī jaatī hai

    charāġh dil ke lahū se haiñ ham jalā.e hue

    hai bholā-bhālā chehra adā.eñ bhī haiñ hasīñ

    burī nazar se rakho ḳhud ko tum bachā.e hue

    kabhī to dekh mirī samt ai jahāñ vaale

    maiñ rahā huuñ yahāñ bār-e-ġham uThā.e hue

    tire sivā na kisī aur dar pe mere ḳhudā

    paḌe na jiinā kabhī mujh ko sar jhukā.e hue

    mirī nigāh meñ 'sāhir' aziim log haiñ vo

    hamesha dil jo ibādat meñ haiñ lagā.e hue

    hamin nahin gham-o-alam ke satae hue

    har ek shaKHs koi dard hai chhupae hue

    tumhin ko yaro mubarak hon saghar-o-mina

    wo din gae the jo hum mai-kada sajae hue

    sabhi ko chahiye saqi ki multafit nazren

    magar hai saqi-e-dauran nazar chhupae hue

    baDe jatan se jinhen muntaKHab kiya hum ne

    wahi sire se hamin ko hain kyon bhulae hue

    chale bhi aao shab-e-hijr baDhti jati hai

    charagh dil ke lahu se hain hum jalae hue

    hai bhola-bhaala sa chehra adaen bhi hain hasin

    buri nazar se rakho KHud ko tum bachae hue

    kabhi to dekh meri samt ai jahan wale

    main ji raha hun yahan bar-e-gham uThae hue

    tere siwa na kisi aur dar pe mere KHuda

    paDe na jina kabhi mujh ko sar jhukae hue

    meri nigah mein 'sahir' azim log hain wo

    hamesha dil jo ibaadat mein hain lagae hue

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now