hamin par dhup barsata hai suraj bhi muqaddar bhi
hamīñ par dhuup barsātā hai sūraj bhī muqaddar bhī
daraḳht-e-mehrbāñ koī kare saaya to ham par bhī
ayaañ hotī chalī jaatī haiñ sab chehre kī tahrīreñ
huī jaatī hai nā-kāfī ḳhamoshī kī ye chādar bhī
badan kī raushnī meñ jo na dekhā jā sakā ham se
usī shīshe ke paikar meñ dhaḌaktā thā vo patthar bhī
haqīqat se tasavvur tak safar mujh meñ kiyā us ne
magar mujh tak nahīñ pahuñchā vo itnī duur chal kar bhī
koī mūsā-o-īsā-o-mohammad ab na aa.egā
hamāre nā-tavāñ shānoñ pe hai kār-e-payambar bhī
hamin par dhup barsata hai suraj bhi muqaddar bhi
daraKHt-e-mehrban koi kare saya to hum par bhi
ayan hoti chali jati hain sab chehre ki tahriren
hui jati hai na-kafi KHamoshi ki ye chadar bhi
badan ki raushni mein jo na dekha ja saka hum se
usi shishe ke paikar mein dhaDakta tha wo patthar bhi
haqiqat se tasawwur tak safar mujh mein kiya us ne
magar mujh tak nahin pahuncha wo itni dur chal kar bhi
koi musa-o-isa-o-mohammad ab na aaega
hamare na-tawan shanon pe hai kar-e-payambar bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.