hamin se toD ke rishta safar pe nikla hai
hamīñ se toḌ ke rishta safar pe niklā hai
hamārā saaya akelā safar pe niklā hai
qadam qadam na.e zaḳhmoñ ke phuul mahkāo
ki koī rashk-e-masīhā safar pe niklā hai
hamāre ġham ke sharīk-e-safar haiñ aañsū bhī
charāġh le ke añdherā safar pe niklā hai
batā rahā hai havāoñ kā zor aaj kī shab
koī charāġh akelā safar pe niklā hai
samundaroñ se kaho farsh-e-rāh ho jaa.eñ
sunā hai aaj vo pyāsā safar pe niklā hai
shikast-e-dil ke marāhil se pahle ham guzre
hamāre baa'd zamāna safar pe niklā hai
tamām 'umr jo ai 'badr' gardishoñ meñ rahā
thakā thakā vo saverā safar pe niklā hai
hamin se toD ke rishta safar pe nikla hai
hamara saya akela safar pe nikla hai
qadam qadam nae zaKHmon ke phul mahkao
ki koi rashk-e-masiha safar pe nikla hai
hamare gham ke sharik-e-safar hain aansu bhi
charagh le ke andhera safar pe nikla hai
bata raha hai hawaon ka zor aaj ki shab
koi charagh akela safar pe nikla hai
samundaron se kaho farsh-e-rah ho jaen
suna hai aaj wo pyasa safar pe nikla hai
shikast-e-dil ke marahil se pahle hum guzre
hamare ba'd zamana safar pe nikla hai
tamam 'umr jo ai 'badr' gardishon mein raha
thaka thaka wo sawera safar pe nikla hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.