hamrah-e-abr barq-e-farozan bhi aaegi
hamrāh-e-abr barq-e-farozāñ bhī aa.egī
vo ā.eñge to āh-e-raqībāñ bhī aa.egī
dil bujh gayā to aur baḌhegī ye tīrgī
jalte raho ki sub.h-e-daraḳhshāñ bhī aa.egī
phūTeñge aable to khileñge ka.ī gulāb
fasl-e-bahār sū-e-bayābāñ bhī aa.egī
kam-kam rahegī dil meñ tire dhuup kī chubhan
sahrā meñ tujh ko yād-e-gulistāñ bhī aa.egī
ai andalīb lab pe na lā shikva-e-ḳhizāñ
āḳhir kabhī to fasl-e-bahārāñ bhī aa.egī
chhoḌā vatan to is kā gumāñ tak na thā ki yuuñ
ġhurbat meñ yād-e-mahfil-e-yārāñ bhī aa.egī
nazzārgī meñ hosh kise thā ki ai 'naresh'
sūrat koī qarīb-e-rag-e-jāñ bhī aa.egī
hamrah-e-abr barq-e-farozan bhi aaegi
wo aaenge to aah-e-raqiban bhi aaegi
dil bujh gaya to aur baDhegi ye tirgi
jalte raho ki subh-e-daraKHshan bhi aaegi
phuTenge aable to khilenge kai gulab
fasl-e-bahaar su-e-bayaban bhi aaegi
kam-kam rahegi dil mein tere dhup ki chubhan
sahra mein tujh ko yaad-e-gulistan bhi aaegi
ai andalib lab pe na la shikwa-e-KHizan
aaKHir kabhi to fasl-e-bahaaran bhi aaegi
chhoDa watan to is ka guman tak na tha ki yun
ghurbat mein yaad-e-mahfil-e-yaran bhi aaegi
nazzargi mein hosh kise tha ki ai 'naresh'
surat koi qarib-e-rag-e-jaan bhi aaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.