hamwar khinch kar kabhi dushwar khinch kar
hamvār khīñch kar kabhī dushvār khīñch kar
tang aa chukā huuñ saañs lagātār khīñch kar
maidāñ meñ gar na aatā maiñ talvār khīñch kar
le jaate log misr ke bāzār khīñch kar
ḳhātir meñ kuchh na lā.egā ye sail-e-ashk hai
tum rokte ho ret kī dīvār khīñch kar
uktā chukā ye dil bhī nazar bhī maiñ aap bhī
muddat se terī hasrat-e-dīdār khīñch kar
ai ziist terā faisla karne lagā thā maiñ
laate agar na mujh ko mire yaar khīñch kar
hargiz ye aise mānñe vaalī nahīñ miyāñ
duniyā ko do lagā sar-e-bāzār khīñch kar
jaatā rahā vo kaif-e-nihāñ jo chubhan meñ thā
pachhtā rahā huuñ paañv ke ab ḳhaar khīñch kar
mere ḳhayāl meñ thī kahānī yahīñ talak
ab kyoñ baḌhā.e jaate haiñ kirdār khīñch kar
'tāsif' agar hai maal kharā to yaqīn rakh
lā.egā aap apne ḳharīdār khīñch kar
hamwar khinch kar kabhi dushwar khinch kar
tang aa chuka hun sans lagatar khinch kar
maidan mein gar na aata main talwar khinch kar
le jate log misr ke bazar khinch kar
KHatir mein kuchh na laega ye sail-e-ashk hai
tum rokte ho ret ki diwar khinch kar
ukta chuka ye dil bhi nazar bhi main aap bhi
muddat se teri hasrat-e-didar khinch kar
ai zist tera faisla karne laga tha main
late agar na mujh ko mere yar khinch kar
hargiz ye aise manne wali nahin miyan
duniya ko do laga sar-e-bazar khinch kar
jata raha wo kaif-e-nihan jo chubhan mein tha
pachhta raha hun panw ke ab KHar khinch kar
mere KHayal mein thi kahani yahin talak
ab kyon baDhae jate hain kirdar khinch kar
'tasif' agar hai mal khara to yaqin rakh
laega aap apne KHaridar khinch kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.