hangama-KHez dawa-e-mansur ho gaya
hangāma-ḳhez da.avā-e-mansūr ho gayā
lab ham-navā-e-ḳhātir-e-maġhrūr ho gayā
bazm-e-ḳhayāl-e-yār meñ hai mahv-e-ārzū
mujh se mirā ḳhayāl bahut duur ho gayā
miTnā thā kab tarāvish-e-zaḳhm-e-jigar kā rang
haañ riste riste zaḳhm se nāsūr ho gayā
thā jalva-gāh-e-yār mirā dāman-e-nigāh
jis zarre par nigāh paḌī tuur ho gayā
bas ai sukūn-e-yās ziyāda sitam na kar
vo iztirāb-e-shauq to kāfūr ho gayā
nākāmī-e-azal kī sitam-rāniyāñ na pūchh
maiñ apne iḳhtiyār se majbūr ho gayā
uf iztirāb-e-shauq kī hasrat-faroshiyāñ
husn-e-hayā-parast bhī majbūr ho gayā
maiñ aur ye sarnavisht-e-malāmat kī jā nahīñ
maiñ us ke intiḳhāb se majbūr ho gayā
hangāma-hā-e-ġhalġhala-e-mā-o-man na pūchh
'beḳhud' bhī apne ahd kā mansūr ho gayā
hangama-KHez dawa-e-mansur ho gaya
lab ham-nawa-e-KHatir-e-maghrur ho gaya
bazm-e-KHayal-e-yar mein hai mahw-e-arzu
mujh se mera KHayal bahut dur ho gaya
miTna tha kab tarawish-e-zaKHm-e-jigar ka rang
han riste riste zaKHm se nasur ho gaya
tha jalwa-gah-e-yar mera daman-e-nigah
jis zarre par nigah paDi tur ho gaya
bas ai sukun-e-yas ziyaada sitam na kar
wo iztirab-e-shauq to kafur ho gaya
nakaami-e-azal ki sitam-raniyan na puchh
main apne iKHtiyar se majbur ho gaya
uf iztirab-e-shauq ki hasrat-faroshiyan
husn-e-haya-parast bhi majbur ho gaya
main aur ye sarnawisht-e-malamat ki ja nahin
main us ke intiKHab se majbur ho gaya
hangama-ha-e-ghalghala-e-ma-o-man na puchh
'beKHud' bhi apne ahd ka mansur ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.