hangama kis liye hai bapa tere shahr mein
hangāma kis liye hai bapā tere shahr meñ
kyā phir koī ġharīb luTā tere shahr meñ
har shaḳhs kar rahā hai jafā tere shahr meñ
jiine kā aa rahā hai mazā tere shahr meñ
rangīn sub.h-o-shām the shab bhī hasīn thī
dil ko magar sukūn na thā tere shahr meñ
is tarh ahl-e-shahr ne mujh par sitam kiye
rahtā nahīñ ho jaise ḳhudā tere shahr meñ
ab ḳhud se pūchhtā huuñ patā apne gaañv kā
aisā milā vafā kā sila tere shahr meñ
'dānish' ko tere pyaar ne kī dushmanī 'atā
pahle koī raqīb na thā tere shahr meñ
hangama kis liye hai bapa tere shahr mein
kya phir koi gharib luTa tere shahr mein
har shaKHs kar raha hai jafa tere shahr mein
jine ka aa raha hai maza tere shahr mein
rangin subh-o-sham the shab bhi hasin thi
dil ko magar sukun na tha tere shahr mein
is tarh ahl-e-shahr ne mujh par sitam kiye
rahta nahin ho jaise KHuda tere shahr mein
ab KHud se puchhta hun pata apne ganw ka
aisa mila wafa ka sila tere shahr mein
'danish' ko tere pyar ne ki dushmani 'ata
pahle koi raqib na tha tere shahr mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.