hans hans kar aansu pi jaana aap ke bas ki baat nahin
hañs hañs kar aañsū pī jaanā aap ke bas kī baat nahīñ
apne ghar meñ aag lagānā aap ke bas kī baat nahīñ
dīvānoñ kī āñkheñ bhī ā.īne jaise hotī haiñ
dīvānoñ se aañkh milānā aap ke bas kī baat nahīñ
ab to maut uThā.e ham ko to shāyad ham uTh jaa.eñ
ham ko apne dar se uThānā aap ke bas kī baat nahīñ
har ik gaam pe us kī galī meñ tanz ke patthar chalte haiñ
us kī galī meñ ānā-jānā aap ke bas kī baat nahīñ
yuuñ to ham ne aap kī ḳhātir hosh gañvā.e jog liyā
lekin ab ham ko samjhānā aap ke bas kī baat nahīñ
aap kī ye tanhā.ī ik din merā naam pukāregī
uljhī huī zulfeñ suljhāna aap ke bas kī baat nahīñ
hans hans kar aansu pi jaana aap ke bas ki baat nahin
apne ghar mein aag lagana aap ke bas ki baat nahin
diwanon ki aankhen bhi aaine jaise hoti hain
diwanon se aankh milana aap ke bas ki baat nahin
ab to maut uThae hum ko to shayad hum uTh jaen
hum ko apne dar se uThana aap ke bas ki baat nahin
har ek gam pe us ki gali mein tanz ke patthar chalte hain
us ki gali mein aana-jaana aap ke bas ki baat nahin
yun to hum ne aap ki KHatir hosh ganwae jog liya
lekin ab hum ko samjhana aap ke bas ki baat nahin
aap ki ye tanhai ek din mera nam pukaregi
uljhi hui zulfen suljhana aap ke bas ki baat nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.