hans hans ke bolne ki faza kaun le gaya
hañs hañs ke bolne kī fazā kaun le gayā
āñgan se shor-o-ġhul kī sadā kaun le gayā
piine lagī haiñ zahr-e-tafakkur sharārateñ
bachchoñ se bhole-pan kī adā kaun le gayā
sach bolne kī saarī rivāyat kahāñ ga.ī
virse meñ jo milī thī fazā kaun le gayā
de ke shajar shajar ko udāsī kī tez dhuup
shāḳhoñ se pattiyoñ kī ridā kaun le gayā
āsūdgī kī khoj meñ niklā huuñ sū-e-dasht
shahroñ kī pur-sukūn fazā kaun le gayā
bārūd rakh ke mere darīchoñ ke aas paas
sarsabz vādiyoñ kī havā kaun le gayā
mehnat-kashoñ ko bhuuk hī ḳhairāt meñ milī
razzāq ban ke rizq-e-vafā kaun le gayā
hans hans ke bolne ki faza kaun le gaya
aangan se shor-o-ghul ki sada kaun le gaya
pine lagi hain zahr-e-tafakkur shararaten
bachchon se bhole-pan ki ada kaun le gaya
sach bolne ki sari riwayat kahan gai
wirse mein jo mili thi faza kaun le gaya
de ke shajar shajar ko udasi ki tez dhup
shaKHon se pattiyon ki rida kaun le gaya
aasudgi ki khoj mein nikla hun su-e-dasht
shahron ki pur-sukun faza kaun le gaya
barud rakh ke mere darichon ke aas pas
sarsabz wadiyon ki hawa kaun le gaya
mehnat-kashon ko bhuk hi KHairaat mein mili
razzaq ban ke rizq-e-wafa kaun le gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.