hans kar milte ho bhai
hañs kar milte ho bhaa.ī
buġhz bhī rakhte ho bhaa.ī
maiñ to barf kā TukḌā huuñ
mujh se jalte ho bhaa.ī
aur maiñ ab kitnā chīḳhūñ
ūñchā sunte ho bhaa.ī
tum bhī pāk-patan se ho
chanchal lagte ho bhaa.ī
andar se bhī vaise ho
jaise dikhte ho bhaa.ī
aag ugalte manzar ko
kyā likh sakte ho bhaa.ī
mazdūrī bhī karte ho
ishq bhī karte ho bhaa.ī
'āsif' ūñche shamloñ se
tum kyoñ Darte ho bhaa.ī
hans kar milte ho bhai
bughz bhi rakhte ho bhai
main to barf ka TukDa hun
mujh se jalte ho bhai
aur main ab kitna chiKHun
uncha sunte ho bhai
tum bhi pak-patan se ho
chanchal lagte ho bhai
andar se bhi waise ho
jaise dikhte ho bhai
aag ugalte manzar ko
kya likh sakte ho bhai
mazduri bhi karte ho
ishq bhi karte ho bhai
'asif' unche shamlon se
tum kyon Darte ho bhai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.